kya hai ye jo gahe aa jati hai aandhi koi zard
kyā hai ye jo gaahe aa jaatī hai āñdhī koī zard
yā bagūlā jo koī sar khīñche hai sahrā-navard
shauq meñ ye mahmil-e-lailā ke ho kar be-qarār
ik nihād-e-vādī-e-majnūñ se uTh chaltī hai gard
vajh-e-dam-sardī nahīñ maiñ jāntā rone ke baad
miiñh barsā hai kahīñ shāyad havā aatī hai sard
maar rakkhā bātin-e-pīr-e-muġhāñ ne shaiḳh ko
mil gayā us pīr-zan ko ġhaib se ek pīr-mard
ek shab pahlū kiyā thā garm un ne tere saath
raat ko rahtā hai aksar 'mīr' ke pahlū meñ dard
kya hai ye jo gahe aa jati hai aandhi koi zard
ya bagula jo koi sar khinche hai sahra-naward
shauq mein ye mahmil-e-laila ke ho kar be-qarar
ek nihad-e-wadi-e-majnun se uTh chalti hai gard
wajh-e-dam-sardi nahin main jaanta rone ke baad
minh barsa hai kahin shayad hawa aati hai sard
mar rakkha baatin-e-pir-e-mughan ne shaiKH ko
mil gaya us pir-zan ko ghaib se ek pir-mard
ek shab pahlu kiya tha garm un ne tere sath
raat ko rahta hai aksar 'mir' ke pahlu mein dard
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0197
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.