kya hum bayan kisu se karen apne han ki tarh
kyā ham bayāñ kisū se kareñ apne haañ kī tarh
kī ishq ne ḳharābī se is ḳhāndāñ kī tarh
juuñ sabza chal chaman meñ lab-e-jū pe sair kar
umr-e-azīz jaatī hai āb-e-ravāñ kī tarh
jo saqf be-amad ho nahīñ us kā e'timād
kis ḳhānumāñ-ḳharāb ne kī āsmāñ kī tarh
isbāt-e-be-sabātī huā hotā aage to
kyoñ is chaman meñ Dālte ham āshiyāñ kī tarh
ab kahte haiñ balā hai sitam-kash ye pīrgī
qad jo huā ḳhamīda hamārā kamāñ kī tarh
nuqsān-e-jāñ sarīh thā saude meñ ishq ke
ham jaan kar nikālī hai jī ke ziyāñ kī tarh
dil ko jo ḳhuub dekhā to hū kā makān hai
hai is makāñ meñ saarī vahī lā-makāñ kī tarh
kal dekh āftāb ko royā huuñ der tak
ġhusse meñ aisī hī thī mire meherbāñ kī tarh
jāvegā apnī bhuul tarahdārī 'mīr' vo
kuchh aur ho ga.ī jo kisū nā-tavāñ kī tarh
kya hum bayan kisu se karen apne han ki tarh
ki ishq ne KHarabi se is KHandan ki tarh
jun sabza chal chaman mein lab-e-ju pe sair kar
umr-e-aziz jati hai aab-e-rawan ki tarh
jo saqf be-amad ho nahin us ka e'timad
kis KHanuman-KHarab ne ki aasman ki tarh
isbaat-e-be-sabaati hua hota aage to
kyon is chaman mein Dalte hum aashiyan ki tarh
ab kahte hain bala hai sitam-kash ye pirgi
qad jo hua KHamida hamara kaman ki tarh
nuqsan-e-jaan sarih tha saude mein ishq ke
hum jaan kar nikali hai ji ke ziyan ki tarh
dil ko jo KHub dekha to hu ka makan hai
hai is makan mein sari wahi la-makan ki tarh
kal dekh aaftab ko roya hun der tak
ghusse mein aisi hi thi mere meherban ki tarh
jawega apni bhul tarahdari 'mir' wo
kuchh aur ho gai jo kisu na-tawan ki tarh
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 4, Ghazal No- 1374
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.