kya ishq-e-KHana-soz ke dil mein chhupi hai aag
kyā ishq-e-ḳhāna-soz ke dil meñ chhupī hai aag
ik saare tan-badan meñ mire faq rahī hai aag
gulshan bharā hai lāla-o-gul se agarche sab
par us baġhair apne to bhā.eñ lagī hai aag
paañv meñ paḌ ga.e haiñ phaphole mire tamām
har gaam rāh-e-ishq meñ goyā dabī hai aag
jal-jal ke sab imārat-e-dil ḳhaak ho ga.ī
kaise nagar ko aah mohabbat ne dī hai aag
ab garm-o-sard-e-dahr se yaksāñ nahīñ hai haal
paanī hai dil hamārā kabhī to kabhī hai aag
kyūñkar na tab.a-e-ātishīñ us kī hameñ jalā.e
ham musht-e-ḳhas kā hukm rakheñ vo parī hai aag
kab lag sake hai ishq-e-jahāñ-soz ko havas
maahī kī ziist aab samundar kā jī hai aag
roz-e-azal se aate haiñ hote jigar kabāb
kyā āj-kal se ishq kī yaaro jalī hai aag
angāre se na girte the aage jigar ke laḳht
jab tab hamārī god meñ ab to bharī hai aag
yā-rab hamesha jaltī hī rahtī haiñ chhātiyāñ
ye kaisī āshiqoñ ke diloñ meñ rakhī hai aag
afsurdagī-e-soḳhta-jānāñ hai qahr 'mīr'
dāman ko Tuk hilā ki diloñ kī bujhī hai aag
kya ishq-e-KHana-soz ke dil mein chhupi hai aag
ek sare tan-badan mein mere faq rahi hai aag
gulshan bhara hai lala-o-gul se agarche sab
par us baghair apne to bhaen lagi hai aag
panw mein paD gae hain phaphole mere tamam
har gam rah-e-ishq mein goya dabi hai aag
jal-jal ke sab imarat-e-dil KHak ho gai
kaise nagar ko aah mohabbat ne di hai aag
ab garm-o-sard-e-dahr se yaksan nahin hai haal
pani hai dil hamara kabhi to kabhi hai aag
kyunkar na taba-e-atishin us ki hamein jalae
hum musht-e-KHas ka hukm rakhen wo pari hai aag
kab lag sake hai ishq-e-jahan-soz ko hawas
mahi ki zist aab samundar ka ji hai aag
roz-e-azal se aate hain hote jigar kabab
kya aaj-kal se ishq ki yaro jali hai aag
angare se na girte the aage jigar ke laKHt
jab tab hamari god mein ab to bhari hai aag
ya-rab hamesha jalti hi rahti hain chhatiyan
ye kaisi aashiqon ke dilon mein rakhi hai aag
afsurdagi-e-soKHta-jaanan hai qahr 'mir'
daman ko Tuk hila ki dilon ki bujhi hai aag
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0847
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.