kya kaam kiya humne dil yun na lagana tha
kyā kaam kiyā ham ne dil yuuñ na lagānā thā
is jaan kī jokhoñ ko us vaqt na jaanā thā
thā jism kā tark aulā ayyām meñ piirī ke
jaatā thā chalā har dam jaama bhī purānā thā
har aan thī sargoshī yā baat nahīñ gaahe
auqāt hai ik ye bhī ik vo bhī zamāna thā
pāmālī azīzoñ kī rakhnī thī nazar meñ Tuk
itnā bhī tumheñ aa kar yaañ sar na uThānā thā
ik mahv-e-tamāshā haiñ ik garm haiñ qisse ke
yaañ aaj jo kuchh dekhā so kal vo fasāna thā
kyūñkar galī se us kī maiñ uTh ke chalā jaatā
yaañ ḳhaak meñ milnā thā lohū meñ nahānā thā
jo tiir chalā us kā so merī taraf aaya
is ishq ke maidāñ meñ maiñ hī to nishāna thā
jab tū ne nazar pherī tab jaan ga.ī us kī
marnā tire āshiq kā marnā ki bahāna thā
kahtā thā kisū se kuchh taktā thā kisū kā muñh
kal 'mīr' khaḌā thā yaañ sach hai ki divāna thā
kab aur ġhazal kahtā maiñ is zamīñ meñ lekin
parde meñ mujhe apnā ahvāl sunānā thā
kya kaam kiya hum ne dil yun na lagana tha
is jaan ki jokhon ko us waqt na jaana tha
tha jism ka tark aula ayyam mein piri ke
jata tha chala har dam jama bhi purana tha
har aan thi sargoshi ya baat nahin gahe
auqat hai ek ye bhi ek wo bhi zamana tha
pamali azizon ki rakhni thi nazar mein Tuk
itna bhi tumhein aa kar yan sar na uThana tha
ek mahw-e-tamasha hain ek garm hain qisse ke
yan aaj jo kuchh dekha so kal wo fasana tha
kyunkar gali se us ki main uTh ke chala jata
yan KHak mein milna tha lohu mein nahana tha
jo tir chala us ka so meri taraf aaya
is ishq ke maidan mein main hi to nishana tha
jab tu ne nazar pheri tab jaan gai us ki
marna tere aashiq ka marna ki bahana tha
kahta tha kisu se kuchh takta tha kisu ka munh
kal 'mir' khaDa tha yan sach hai ki diwana tha
kab aur ghazal kahta main is zamin mein lekin
parde mein mujhe apna ahwal sunana tha
Source:
MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1070
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.