kya kahiye kali sa wo dahan hai
kyā kahiye kalī sā vo dahan hai
is meñ bhī jo sochiye suḳhan hai
us gul ko lage hai shāḳh-e-gul kab
ye shāḳhcha-bandī-e-chaman hai
vābastagī mujh se shīsha-jāñ kī
us sang se hai ki dil-shikan hai
kyā sahl guzartī hai junūñ se
tohfa ham logoñ kā chalan hai
lutf us ke badan kā kuchh na pūchho
kyā jāniye jaan hai ki tan hai
ve band-e-qabā khule the shāyad
sad-chāk guloñ kā pairahan hai
gah dair meñ haiñ gahe haram meñ
apnā to yahī divāna-pan hai
ham kushta-e-ishq haiñ hamārā
maidān kī ḳhaak hī kafan hai
kar 'mīr' ke haal par tarahhum
vo shahr-ġharīb-o-be-vatan hai
kya kahiye kali sa wo dahan hai
is mein bhi jo sochiye suKHan hai
us gul ko lage hai shaKH-e-gul kab
ye shaKHcha-bandi-e-chaman hai
wabastagi mujh se shisha-jaan ki
us sang se hai ki dil-shikan hai
kya sahl guzarti hai junun se
tohfa hum logon ka chalan hai
lutf us ke badan ka kuchh na puchho
kya jaaniye jaan hai ki tan hai
we band-e-qaba khule the shayad
sad-chaak gulon ka pairahan hai
gah dair mein hain gahe haram mein
apna to yahi diwana-pan hai
hum kushta-e-ishq hain hamara
maidan ki KHak hi kafan hai
kar 'mir' ke haal par tarahhum
wo shahr-gharib-o-be-watan hai
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 1039
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.