kya kahiye kya rakhen hain hum tujhse yar KHwahish
kyā kahiye kyā rakheñ haiñ ham tujh se yaar ḳhvāhish
yak-jān-o-sad-tamanna yak-dil hazār ḳhvāhish
le haath meñ qafas Tuk sayyād chal chaman tak
muddat se hai hameñ bhī sair-e-bahār ḳhvāhish
nai kuchh gunah hai dil kā nai jurm-e-chashm is meñ
rakhtī hai ham ko itnā be-iḳhtiyār ḳhvāhish
hālāñki umr saarī māyūs guzrī tis par
kyā kyā rakheñ haiñ us ke umīd-vār ḳhvāhish
ġhairat se dostī kī kis kis se hoje dushman
rakhtā hai yaarī hī kī saarā dayār ḳhvāhish
ham mehr-varz kyūñkar ḳhālī hoñ aarzū se
sheva yahī tamanna fann-o-shi.ār ḳhvāhish
uThtī hai mauj har ik āġhosh hī kī sūrat
dariyā ko hai ye kis kā bos-o-kanār ḳhvāhish
sad-rang jalva-gar hai har jaada ġhairat-e-gul
āshiq kī ek paave kyūñkar qarār ḳhvāhish
yak-bār bar na aa.ī us se umiid dil kī
iz.hār karte kab tak yuuñ bār-bār ḳhvāhish
karte haiñ sab tamanna par 'mīr' jī na itnī
rakkhegī maar tum ko pāyān-e-kār ḳhvāhish
kya kahiye kya rakhen hain hum tujh se yar KHwahish
yak-jaan-o-sad-tamanna yak-dil hazar KHwahish
le hath mein qafas Tuk sayyaad chal chaman tak
muddat se hai hamein bhi sair-e-bahaar KHwahish
nai kuchh gunah hai dil ka nai jurm-e-chashm is mein
rakhti hai hum ko itna be-iKHtiyar KHwahish
haalanki umr sari mayus guzri tis par
kya kya rakhen hain us ke umid-war KHwahish
ghairat se dosti ki kis kis se hoje dushman
rakhta hai yari hi ki sara dayar KHwahish
hum mehr-warz kyunkar KHali hon aarzu se
shewa yahi tamanna fann-o-shiar KHwahish
uThti hai mauj har ek aaghosh hi ki surat
dariya ko hai ye kis ka bos-o-kanar KHwahish
sad-rang jalwa-gar hai har jada ghairat-e-gul
aashiq ki ek pawe kyunkar qarar KHwahish
yak-bar bar na aai us se umid dil ki
izhaar karte kab tak yun bar-bar KHwahish
karte hain sab tamanna par 'mir' ji na itni
rakkhegi mar tum ko payan-e-kar KHwahish
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0826
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.