aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya kahun tum se main ki kya hai ishq

Meer Taqi Meer

kya kahun tum se main ki kya hai ishq

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    kyā kahūñ tum se maiñ ki kyā hai ishq

    jaan rog hai balā hai ishq

    ishq ishq hai jahāñ dekho

    saare aalam meñ bhar rahā hai ishq

    ishq hai tarz o taur ishq ke ta.iiñ

    kahīñ banda kahīñ ḳhudā hai ishq

    ishq ma.ashūq ishq āshiq hai

    ya.anī apnā mubtalā hai ishq

    gar parastish ḳhudā sābit

    kisū sūrat meñ ho bhalā hai ishq

    dilkash aisā kahāñ hai dushman-e-jāñ

    mudda.ī hai pa mudda.ā hai ishq

    hai hamāre bhī taur āshiq

    jis kisī ko kahīñ huā hai ishq

    koī ḳhvāhāñ nahīñ mohabbat

    kahe jins-e-nā-ravā hai ishq

    'mīr'-jī zard hote jaate ho

    kyā kahīñ tum ne bhī kiyā hai ishq

    kya kahun tum se main ki kya hai ishq

    jaan ka rog hai bala hai ishq

    ishq hi ishq hai jahan dekho

    sare aalam mein bhar raha hai ishq

    ishq hai tarz o taur ishq ke tain

    kahin banda kahin KHuda hai ishq

    ishq mashuq ishq aashiq hai

    yani apna hi mubtala hai ishq

    gar parastish KHuda ki sabit ki

    kisu surat mein ho bhala hai ishq

    dilkash aisa kahan hai dushman-e-jaan

    muddai hai pa muddaa hai ishq

    hai hamare bhi taur ka aashiq

    jis kisi ko kahin hua hai ishq

    koi KHwahan nahin mohabbat ka

    tu kahe jins-e-na-rawa hai ishq

    'mir'-ji zard hote jate ho

    kya kahin tum ne bhi kiya hai ishq

    Source:

    MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0837

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now