kya karen nichi nazar karne se ghussa khae wo
kyā kareñ nīchī nazar karne se ġhussa khaa.e vo
aur majlis meñ jo rahiye dekh to sharmā.e vo
kis tarah taḌpe hai kyā kyā jī ghuTā jaatā hai haa.e
saath us ke dil lagā ho jis kisū kā vaa.e vo
kyā sulūk us bevafā ke naql kariye ham-nashīñ
minnateñ kariye to yaañ tak ghar se chal kar aa.e vo
lutf se labrez hai us kām-e-jāñ kā sab badan
muḳhtalat ho jaa.e ham se jo kabhū to haa.e vo
be-ḳhudī hai jī chalā jaatā hai huuñ sāhab-farāsh
be-ḳhabar ai kaash bālīñ par mirī aa jaa.e vo
ham nahīñ milte vagarna yaar hai tā-qatl saath
lohū pī jaave hamārā ham ko ab jo paa.e vo
'mīr' ko vāshud nahīñ hai maqsad is kā aur hai
ishq se laḌkoñ ke dil ko kab talak bahlā.e vo
kya karen nichi nazar karne se ghussa khae wo
aur majlis mein jo rahiye dekh to sharmae wo
kis tarah taDpe hai kya kya ji ghuTa jata hai hae
sath us ke dil laga ho jis kisu ka wae wo
kya suluk us bewafa ke naql kariye ham-nashin
minnaten kariye to yan tak ghar se chal kar aae wo
lutf se labrez hai us kaam-e-jaan ka sab badan
muKHtalat ho jae hum se jo kabhu to hae wo
be-KHudi hai ji chala jata hai hun sahab-farash
be-KHabar ai kash baalin par meri aa jae wo
hum nahin milte wagarna yar hai ta-qatl sath
lohu pi jawe hamara hum ko ab jo pae wo
'mir' ko washud nahin hai maqsad is ka aur hai
ishq se laDkon ke dil ko kab talak bahlae wo
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1251
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.