kya kya na humne khinche aazar teri KHatir
kyā kyā na ham ne khīñche āzār terī ḳhātir
ab ho ga.e haiñ āḳhir bīmār terī ḳhātir
ġhairoñ kī be-dimāġhī betābi chhātī dāġhī
ye sab sitam uThā.e ai yaar terī ḳhātir
kyā jāniye ki hai tū kyā jins-e-besh-qīmat
jaate haiñ pagḌī jaame bāzār terī ḳhātir
ik baar tū ne aa kar ḳhātir na rakkhī merī
maiñ jī se apne guzrā sau baar terī ḳhātir
maiñ kyā ki aah kāfir diiñ ke akābiroñ ne
qashqe lagā.e pahne zunnār terī ḳhātir
go dil dhasak hī jaave āñkheñ ubal hī aaveñ
sab ūñch-nīch kī hai hamvār terī ḳhātir
ek aan tere abrū īdhar jhuke na paa.e
sau sau meñ maiñ ne khīñchī talvār terī ḳhātir
kyā chiiz hai tū pyāre muflis haiñ daaġh tere
paise liye phire haiñ zardār terī ḳhātir
tujh se do-chār honā phir aah ban na aaya
dī jaan 'mīr' jī ne nā-chār terī ḳhātir
kya kya na hum ne khinche aazar teri KHatir
ab ho gae hain aaKHir bimar teri KHatir
ghairon ki be-dimaghi betabi chhati daghi
ye sab sitam uThae ai yar teri KHatir
kya jaaniye ki hai tu kya jins-e-besh-qimat
jate hain pagDi jame bazar teri KHatir
ek bar tu ne aa kar KHatir na rakkhi meri
main ji se apne guzra sau bar teri KHatir
main kya ki aah kafir din ke akabiron ne
qashqe lagae pahne zunnar teri KHatir
go dil dhasak hi jawe aankhen ubal hi aawen
sab unch-nich ki hai hamwar teri KHatir
ek aan tere abru idhar jhuke na pae
sau sau mein main ne khinchi talwar teri KHatir
kya chiz hai tu pyare muflis hain dagh tere
paise liye phire hain zardar teri KHatir
tujh se do-chaar hona phir aah ban na aaya
di jaan 'mir' ji ne na-chaar teri KHatir
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0803
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.