kya roiye hamin ko yun aan kar ke mara
kyā roiye hamīñ ko yuuñ aan kar ke maarā
mehr-e-but-e-digar se tūfān kar ke maarā
turbat kā merī lohā ā.īne se kare hai
yā'nī ki un ne mujh ko hairān kar ke maarā
begāna jaan un ne kyā choT raat ko kī
muñh dekh dekh merā pahchān kar ke maarā
pahle gale lagāyā phir dast-e-jaur uThāyā
maarā to un ne lekin ehsān kar ke maarā
us sust-'ahd ne kyā kī thī qasam mujhī se
bahutoñ ko un ne ‘ahd-o-paimān kar ke maarā
hāzir yarāq honā kaahe ko chāhiye thā
mujh be-navā ko kyā kyā sāmān kar ke maarā
kahne lagā ki shab ko mere ta.iiñ nasha thā
mastāna 'mīr' ko maiñ kyā jaan kar ke maarā
kya roiye hamin ko yun aan kar ke mara
mehr-e-but-e-digar se tufan kar ke mara
turbat ka meri loha aaine se kare hai
ya'ni ki un ne mujh ko hairan kar ke mara
begana jaan un ne kya choT raat ko ki
munh dekh dekh mera pahchan kar ke mara
pahle gale lagaya phir dast-e-jaur uThaya
mara to un ne lekin ehsan kar ke mara
us sust-'ahd ne kya ki thi qasam mujhi se
bahuton ko un ne ‘ahd-o-paiman kar ke mara
hazir yaraq hona kahe ko chahiye tha
mujh be-nawa ko kya kya saman kar ke mara
kahne laga ki shab ko mere tain nasha tha
mastana 'mir' ko main kya jaan kar ke mara
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1064
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.