kya tan-e-nazuk hai jaan ko bhi hasad jis tan pe hai
kyā tan-e-nāzuk hai jaañ ko bhī hasad jis tan pe hai
kyā badan kā rang hai tah jis kī pairāhan pe hai
gard jab uThtī hai ik hasrat se rah jaate haiñ dekh
vahshiyān-e-dasht kī aañkh us shikār-afgan pe hai
kasrat-e-paikāñ se tere ho ga.ī hai.at hī aur
ab sharaf dil ko hamāre pāra-e-āhan pe hai
kaun yuuñ ai turk-e-rā.anā zīnat-e-fitrāk thā
ḳhuuñ se gul-kārī ajab ik ziin ke dāman pe hai
sar uThāne kī nahīñ hai ham ko fursat ishq meñ
har dam ik teġh-e-jafā-e-tāza yaañ gardan pe hai
nauhagar kar mujh ko dikhlāyā ġham-e-dil ne nidān
shevan ab mauqūf yāroñ kā mire shevan pe hai
ho chukā rahnā mirā bastī meñ āḳhir kab talak
nāla-e-shab se qayāmat roz mard-o-zan pe hai
ḳhirman-e-gul se lageñ haiñ duur se kūḌoñ ke Dher
lohū rone se hamāre rang ik gulḳhan pe hai
ve phirī palkeñ ulaT detī haiñ saf ik aan meñ
ab laḌā.ī hind meñ sab us siyah palTan pe hai
tū to kahtā hai ki maiñ ne us taraf dekhā nahīñ
ḳhūn-e-nāhaq 'mīr' kā ye kis kī phir chitvan pe hai
kya tan-e-nazuk hai jaan ko bhi hasad jis tan pe hai
kya badan ka rang hai tah jis ki pairahan pe hai
gard jab uThti hai ek hasrat se rah jate hain dekh
wahshiyan-e-dasht ki aankh us shikar-afgan pe hai
kasrat-e-paikan se tere ho gai haiat hi aur
ab sharaf dil ko hamare para-e-ahan pe hai
kaun yun ai turk-e-raana zinat-e-fitrak tha
KHun se gul-kari ajab ek zin ke daman pe hai
sar uThane ki nahin hai hum ko fursat ishq mein
har dam ek tegh-e-jafa-e-taza yan gardan pe hai
nauhagar kar mujh ko dikhlaya gham-e-dil ne nidan
shewan ab mauquf yaron ka mere shewan pe hai
ho chuka rahna mera basti mein aaKHir kab talak
nala-e-shab se qayamat roz mard-o-zan pe hai
KHirman-e-gul se lagen hain dur se kuDon ke Dher
lohu rone se hamare rang ek gulKHan pe hai
we phiri palken ulaT deti hain saf ek aan mein
ab laDai hind mein sab us siyah palTan pe hai
tu to kahta hai ki main ne us taraf dekha nahin
KHun-e-nahaq 'mir' ka ye kis ki phir chitwan pe hai
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 1041
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.