Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya tarah hai aashna gahe-gahe na-ashna

Meer Taqi Meer

kya tarah hai aashna gahe-gahe na-ashna

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    kyā tarah hai āshnā gāhe-gahe nā-āshnā

    to begāne rahiye hojiye āshnā

    pā.emāl-e-sad-jafā nā-haq na ho ai andalīb

    sabza-e-begāna bhī thā is chaman āshnā

    kaun se ye bahr-e-ḳhūbī pareshāñ zulf hai

    aatī hai āñkhoñ meñ merī mauj dariyā-āshnā

    ronā aatā hai ham ko dil huā jab se judā

    jaa.e rone hai jaave jab aisā āshnā

    nā-samajh hai to jo merī qadar na.iiñ kartā ki shoḳh

    kam bahut miltā hai phir dil-ḳhvāh itnā āshnā

    bulbuleñ pā.īz meñ kahtī thiiñ hotā kāshke

    yak mizha rañg farārī is chaman āshnā

    ko gul-o-lāla kahāñ sumbul saman ham-nastaran

    ḳhaak se yaksāñ hue haiñ haa.e kyā kyā āshnā

    kyā karūñ kis se kahūñ itnā begāna hai yaar

    saare aalam meñ nahīñ paate kisī āshnā

    jis se maiñ chāhī visātat un ne ye mujh se kahā

    ham to kahte gar miyāñ ham se vo hotā āshnā

    yuuñ sunā hai ki kartā hai safar azm-jazm

    saath ab begāna vaz.oñ ke hamārā āshnā

    sher 'sā.ib' munāsib hai hamārī or se

    sāmne us ke paḌhe gar ye koī āshnā

    tā-ba-jāñ ham-rahīm va tā-ba-manzil dīgarāñ

    farq bāshad jān-e-mā az-āshnā tā-āshnā

    daaġh hai tābāñ alaihir-rahma chhātī pe 'mīr'

    ho najāt us ko bechārā ham se bhī thā āshnā

    kya tarah hai aashna gahe-gahe na-ashna

    ya to begane hi rahiye hojiye ya aashna

    paemal-e-sad-jafa na-haq na ho ai andalib

    sabza-e-begana bhi tha is chaman ka aashna

    kaun se ye bahr-e-KHubi ki pareshan zulf hai

    aati hai aankhon mein meri mauj dariya-ashna

    rona hi aata hai hum ko dil hua jab se juda

    jae rone hi ki hai jawe jab aisa aashna

    na-samajh hai to jo meri qadar nain karta ki shoKH

    kam bahut milta hai phir dil-KHwah itna aashna

    bulbulen paiz mein kahti thin hota kashke

    yak mizha rang farari is chaman ka aashna

    ko gul-o-lala kahan sumbul saman ham-nastaran

    KHak se yaksan hue hain hae kya kya aashna

    kya karun kis se kahun itna hi begana hai yar

    sare aalam mein nahin pate kisi ka aashna

    jis se main chahi wisatat un ne ye mujh se kaha

    hum to kahte gar miyan hum se wo hota aashna

    yun suna ja hai ki karta hai safar ka azm-jazm

    sath ab begana wazon ke hamara aashna

    sher 'saib' ka munasib hai hamari or se

    samne us ke paDhe gar ye koi ja aashna

    ta-ba-jaan ma ham-rahim wa ta-ba-manzil digaran

    farq bashad jaan-e-ma az-ashna ta-ashna

    dagh hai taban alaihir-rahma ka chhati pe 'mir'

    ho najat us ko bechaara hum se bhi tha aashna

    Source:

    MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0030

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now