lal par kab dil mera mail hua
la.al par kab dil mirā maa.il huā
us lab-e-ḳhāmosh kā qaa.il huā
laḌ ga.iiñ āñkheñ uThā.ī dil ne choT
ye tamāshā.ī abas ghāyal huā
nā-shakebī se ga.ī nāmūs-e-faqr
āqibat bose kā maiñ saa.il huā
ek the ham ve na hote hast agar
apnā honā biich meñ haa.il huā
'mīr' ham kis zail meñ dekh us kī aañkh
hosh ahl-e-quds kā zaa.il huā
lal par kab dil mera mail hua
us lab-e-KHamosh ka qail hua
laD gain aankhen uThai dil ne choT
ye tamashai abas ghayal hua
na-shakebi se gai namus-e-faqr
aaqibat bose ka main sail hua
ek the hum we na hote hast agar
apna hona bich mein hail hua
'mir' hum kis zail mein dekh us ki aankh
hosh ahl-e-quds ka zail hua
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0735
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.