Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

labon par hai har lahza aah-e-sharar-bar

Meer Taqi Meer

labon par hai har lahza aah-e-sharar-bar

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    laboñ par hai har lahza āh-e-sharar-bār

    jalā paḌā hai hamārā to ghar-bār

    huiiñ kis sitam-dīda ke paas yakjā

    nigāheñ sharar-rez palkeñ jigar-bār

    kaho koī dekhe use sair kyūñkar

    ki hai us tan-e-nāzuk-ūpar nazar baar

    halāvat se apnī jo āgāh hoñ to

    chipak jaa.eñ bāham ve lā'l-e-shakar-bār

    subuk kar diyā dil be-tāqatī ne

    na jaanā thā us taraf ham ko har baar

    gadhā ladā phirtā hai shaiḳh har-sū

    ki jubba hai yak baar o ammāma sar-bār

    mire naḳhl-e-mātam pe hai sang-bārāñ

    nihāyat ko laayā 'ajab ye shajar baar

    hameñ baar us dar pe kasrat se kyā ho

    lagā rahe hai sadā vaañ to darbār

    ye āñkheñ ga.iiñ aisī ho kar dur-afshāñ

    ki dekhe se aaya tar abr-e-guhar-bār

    kab is 'umr meñ aadmī shaiḳh hogā

    kitābeñ rakhīñ saath go ek ḳhar-bār

    jahāñ 'mīr' rahne jāgah nahīñ hai

    chalā chāhiye yaañ se asbāb kar baar

    labon par hai har lahza aah-e-sharar-bar

    jala hi paDa hai hamara to ghar-bar

    huin kis sitam-dida ke pas yakja

    nigahen sharar-rez palken jigar-bar

    kaho koi dekhe use sair kyunkar

    ki hai us tan-e-nazuk-upar nazar bar

    halawat se apni jo aagah hon to

    chipak jaen baham we la'l-e-shakar-bar

    subuk kar diya dil ki be-taqati ne

    na jaana tha us ki taraf hum ko har bar

    gadha sa lada phirta hai shaiKH har-su

    ki jubba hai yak bar o ammama sar-bar

    mere naKHl-e-matam pe hai sang-baran

    nihayat ko laya 'ajab ye shajar bar

    hamein bar us dar pe kasrat se kya ho

    laga hi rahe hai sada wan to darbar

    ye aankhen gain aisi ho kar dur-afshan

    ki dekhe se aaya tar abr-e-guhar-bar

    kab is 'umr mein aadmi shaiKH hoga

    kitaben rakhin sath go ek KHar-bar

    jahan 'mir' rahne ki jagah nahin hai

    chala chahiye yan se asbab kar bar

    Source :
    • Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0212
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now