le rang-e-be-sabaati ye gulistan banaya
le rang-e-be-sabātī ye gulistāñ banāyā
bulbul ne kyā samajh kar yaañ āshiyāñ banāyā
uḌtī hai ḳhaak yā-rab shām-o-sahar jahāñ meñ
kis ke ġhubār-e-dil se ye ḳhāk-dāñ banāyā
ik rang par na rahnā yaañ kā 'ajab nahīñ hai
kyā kyā na rang laa.e tab ye jahāñ banāyā
ā.īne meñ kahāñ hai aisī safā kahe tū
jabhoñ se rāstoñ ke vo āstāñ banāyā
sar-gashta aisī kis kī haath aa ga.ī thī miTTī
jo charḳh-zan qazā ne ye āsmāñ banāyā
naqsh-e-qadam se us ke gulshan kī tarh Daalī
gard-e-rah us kī le kar sarv-e-ravāñ banāyā
hone pe jam' apne phūlā bahut thā lekin
kyā ġhuncha tang aayā jab vo dahāñ banāyā
is sahn par ye vus'at allah re terī san'at
me'mār ne qazā ke dil kyā makāñ banāyā
qaaf
dil Tuk idhar na aayā īdhar se kuchh na paayā
kahne ko tark le kar ik svāñg yaañ banāyā
daryūza karte guzrī galiyoñ meñ 'umr apnī
darvesh kab hue ham takiya kahāñ banāyā
vo to miTā gayā thā turbat bhī 'mīr' jī kī
do-chār īñTeñ rakh kar phir maiñ nishāñ banāyā
le rang-e-be-sabaati ye gulistan banaya
bulbul ne kya samajh kar yan aashiyan banaya
uDti hai KHak ya-rab sham-o-sahar jahan mein
kis ke ghubar-e-dil se ye KHak-dan banaya
ek rang par na rahna yan ka 'ajab nahin hai
kya kya na rang lae tab ye jahan banaya
aaine mein kahan hai aisi safa kahe tu
jabhon se raston ke wo aastan banaya
sar-gashta aisi kis ki hath aa gai thi miTTi
jo charKH-zan qaza ne ye aasman banaya
naqsh-e-qadam se us ke gulshan ki tarh Dali
gard-e-rah us ki le kar sarw-e-rawan banaya
hone pe jam' apne phula bahut tha lekin
kya ghuncha tang aaya jab wo dahan banaya
is sahn par ye wus'at allah re teri san'at
me'mar ne qaza ke dil kya makan banaya
qaf
dil Tuk idhar na aaya idhar se kuchh na paya
kahne ko tark le kar ek swang yan banaya
daryuza karte guzri galiyon mein 'umr apni
darwesh kab hue hum takiya kahan banaya
wo to miTa gaya tha turbat bhi 'mir' ji ki
do-chaar inTen rakh kar phir main nishan banaya
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0716
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.