lutf kya har kisu ki chah ke sath
lutf kyā har kisū kī chaah ke saath
chaah vo hai jo ho nibāh ke saath
vaqt kuḌhne ke haath dil par rakh
jaan jaatī rahe na aah ke saath
ishq meñ tark-e-sar kiye hī bane
mashvarat tū bhī kar kulāh ke saath
ho agar-chand āsmāñ pe vale
nisbat us mah ko kyā hai maah ke saath
safarī vo jo mah huā tā-der
chashm apnī thī gard-e-rāh ke saath
jāziba to un āñkhoñ kā dekhā
jī khiñche jaate haiñ nigāh ke saath
'mīr' se tum bure hī rahte ho
kyā sharārat hai ḳhair-ḳhvāh ke saath
lutf kya har kisu ki chah ke sath
chah wo hai jo ho nibah ke sath
waqt kuDhne ke hath dil par rakh
jaan jati rahe na aah ke sath
ishq mein tark-e-sar kiye hi bane
mashwarat tu bhi kar kulah ke sath
ho agar-chand aasman pe wale
nisbat us mah ko kya hai mah ke sath
safari wo jo mah hua ta-der
chashm apni thi gard-e-rah ke sath
jaziba to un aankhon ka dekha
ji khinche jate hain nigah ke sath
'mir' se tum bure hi rahte ho
kya shararat hai KHair-KHwah ke sath
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0941
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.