manind-e-murgh dost na kah bar bar dost
mānind-e-murġh dost na kah baar baar dost
Tuk soch bhī hazār haiñ dushman hazār dost
khaḌke hai paat bhī to lagā baiThtā hai choT
ram-ḳhurda vo ġhazāl bahut hai shikār-dost
sab ko hai rashk mujh meñ jo tujh meñ hai iḳhtilāt
dushman hue haiñ dostī se terī yār-dost
tujh se hazār un ne banā kar diye bigāḌ
mat jaan sādgī se ki hai rozgār dost
ye to kuchh aage dushman-e-jānī se bhī chalā
maiñ jāntā thā hogā dil-e-be-qarār dost
begānagī-e-ḳhalq-e-jahāñ jā-e-ḳhauf hai
sau dushmanoñ meñ kyā hai jo nikle bhī chaar dost
mujh be-navā kī yaad rahe 'mīr' ye sadā
is mai-kade meñ rahiyo bahut hoshiyār dost
manind-e-murgh dost na kah bar bar dost
Tuk soch bhi hazar hain dushman hazar dost
khaDke hai pat bhi to laga baiThta hai choT
ram-KHurda wo ghazal bahut hai shikar-dost
sab ko hai rashk mujh mein jo tujh mein hai iKHtilat
dushman hue hain dosti se teri yar-dost
tujh se hazar un ne bana kar diye bigaD
mat jaan sadgi se ki hai rozgar dost
ye to kuchh aage dushman-e-jaani se bhi chala
main jaanta tha hoga dil-e-be-qarar dost
beganagi-e-KHalq-e-jahan ja-e-KHauf hai
sau dushmanon mein kya hai jo nikle bhi chaar dost
mujh be-nawa ki yaad rahe 'mir' ye sada
is mai-kade mein rahiyo bahut hoshiyar dost
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1114
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.