Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

manind-e-shama-majlis shab ashk-bar paya

Meer Taqi Meer

manind-e-shama-majlis shab ashk-bar paya

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    mānind-e-shama.a-majlis shab ashk-bār paayā

    al-qissa 'mīr' ko ham be-iḳhtiyār paayā

    ahvāl ḳhush unhoñ ham-bazm haiñ jo tere

    afsos hai ki ham ne vaañ na baar paayā

    jiite jo zof ho kar zaḳhm-e-rasā se us ke

    siine ko chaak dekhā dil ko figār paayā

    shahr-e-dil ek muddat ujḌā basā ġhamoñ meñ

    āḳhir ujaaḌ denā us qarār paayā

    itnā na tujh se milte ne dil ko kho ke rote

    jaisā kiyā thā ham ne vaisā yaar paayā

    kyā e'tibār yaañ phir us ko ḳhvār dekhā

    jis ne jahāñ meñ aa kar kuchh e'tibār paayā

    aahoñ ke shole jis uThte the 'mīr' se shab

    vaañ ke sub.h dekhā musht-e-ġhubār paayā

    manind-e-shama-majlis shab ashk-bar paya

    al-qissa 'mir' ko hum be-iKHtiyar paya

    ahwal KHush unhon ka ham-bazm hain jo tere

    afsos hai ki hum ne wan ka na bar paya

    jite jo zof ho kar zaKHm-e-rasa se us ke

    sine ko chaak dekha dil ko figar paya

    shahr-e-dil ek muddat ujDa basa ghamon mein

    aaKHir ujaD dena us ka qarar paya

    itna na tujh se milte ne dil ko kho ke rote

    jaisa kiya tha hum ne waisa hi yar paya

    kya e'tibar yan ka phir us ko KHwar dekha

    jis ne jahan mein aa kar kuchh e'tibar paya

    aahon ke shole jis ja uThte the 'mir' se shab

    wan ja ke subh dekha musht-e-ghubar paya

    Source:

    MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0023

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now