main gulsitan mein aa ke abas aashiyan kiya
maiñ gulsitāñ meñ aa ke abas āshiyāñ kiyā
bulbul ne bhī na taur guloñ kā bayāñ kiyā
phir us ke abruvāñ kā ḳham-o-tāb hai vahī
talvār ke tale bhī mirā imtihāñ kiyā
duuñ kis ko dosh dushman-e-jānī thī dostī
is saude meñ sarīh maiñ nuqsān-e-jāñ kiyā
gaalī hai harf-e-yār qalam ne qazā ke haa.e
sūrat nikālī ḳhuub vale bad-zabāñ kiyā
us jins-e-ḳhush ke pīchhe khapā maiñ chuvāo kiyā
maiñ ne kisū kā kyā kyā apnā ziyāñ kiyā
laḌke jahānābād ke yak shahr karte naaz
aa jaate haiñ baġhal meñ ishāra jahāñ kiyā
maiñ muntazir javāb kā naame ke mar gayā
nā-chār 'mīr' jaan ko ūdhar ravāñ kiyā
main gulsitan mein aa ke abas aashiyan kiya
bulbul ne bhi na taur gulon ka bayan kiya
phir us ke abruwan ka KHam-o-tab hai wahi
talwar ke tale bhi mera imtihan kiya
dun kis ko dosh dushman-e-jaani thi dosti
is saude mein sarih main nuqsan-e-jaan kiya
gali hai harf-e-yar qalam ne qaza ke hae
surat nikali KHub wale bad-zaban kiya
us jins-e-KHush ke pichhe khapa main chuwao kiya
main ne kisu ka kya kya apna ziyan kiya
laDke jahanabaad ke yak shahr karte naz
aa jate hain baghal mein ishaara jahan kiya
main muntazir jawab ka name ke mar gaya
na-chaar 'mir' jaan ko udhar rawan kiya
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1079
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.