main hun KHak-uftada jis aazar ka
maiñ huuñ ḳhāk-uftāda jis āzār kā
ishq bhī us kā hai naam ik pyaar kā
bechtā sar kyoñ na galiyoñ meñ phirūñ
maiñ huuñ ḳhvāhāñ lutf-e-tah-bāzār kā
ḳhuun kar ke Tuk na dil un ne liyā
kushta-o-murda huuñ is isrār kā
ghar se vo me.amār kā jo uTh gayā
haal abtar ho gayā ghar-bār kā
naql us kī bevafā.ī kī hai asl
kab vafādārī hai sheva yaar kā
sar jo de de mārte ghar meñ phire
rang dīgar hai dar-o-dīvār kā
ik gadā-e-dar hai sailāb-e-bahār
ġham-kashoñ ke dīda-e-ḳhūñ-bār kā
dil-barāñ dil jins hai gunjā.ishī
is meñ kuchh nuqsāñ nahīñ sarkār kā
ishq kā maarā hai kyā panpegā 'mīr'
haal hai bad-hāl is bīmār kā
main hun KHak-uftada jis aazar ka
ishq bhi us ka hai nam ek pyar ka
bechta sar kyon na galiyon mein phirun
main hun KHwahan lutf-e-tah-bazar ka
KHun kar ke Tuk na dil un ne liya
kushta-o-murda hun is israr ka
ghar se wo meamar ka jo uTh gaya
haal abtar ho gaya ghar-bar ka
naql us ki bewafai ki hai asl
kab wafadari hai shewa yar ka
sar jo de de marte ghar mein phire
rang digar hai dar-o-diwar ka
ek gada-e-dar hai sailab-e-bahaar
gham-kashon ke dida-e-KHun-bar ka
dil-baran dil jins hai gunjaishi
is mein kuchh nuqsan nahin sarkar ka
ishq ka mara hai kya panpega 'mir'
haal hai bad-haal is bimar ka
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 6, Ghazal No- 1797
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.