main hun tu hai darmiyan shamsher hai
maiñ huuñ tū hai darmiyāñ shamsher hai
safk-e-dam meñ mere ab kyā der hai
ḳhizr dasht-e-ishq meñ mat jā ki vaañ
har qadam maḳhdūm ḳhauf-e-sher hai
raah tak tak kar hue haiñ jāñ-ba-lab
par vahī ab tak bhī yaañ auser hai
jo gurasna dil thā us dīdār kā
apne jiine hī se vo ab sair hai
kuchh nahīñ jaañ un ke pesh-e-tār-e-mū
ghar meñ sham'ī rangoñ ke andher hai
paak hī hotī rahī kushtī-e-ḳhalq
har zabardast us javāñ kā zer hai
tā.eroñ ne gul-fishāñ kī merī gor
sāmne phūloñ kā goyā Dher hai
āshnā Duube bahut is daur meñ
garche jaama yaar kā kam-gher hai
āñchal us dāman kā haath aatā nahīñ
'mīr' dariyā kā sā us kā pher hai
main hun tu hai darmiyan shamsher hai
safk-e-dam mein mere ab kya der hai
KHizr dasht-e-ishq mein mat ja ki wan
har qadam maKHdum KHauf-e-sher hai
rah tak tak kar hue hain jaan-ba-lab
par wahi ab tak bhi yan auser hai
jo gurasna dil tha us didar ka
apne jine hi se wo ab sair hai
kuchh nahin jaan un ke pesh-e-tar-e-mu
ghar mein sham'i rangon ke andher hai
pak hi hoti rahi kushti-e-KHalq
har zabardast us jawan ka zer hai
taeron ne gul-fishan ki meri gor
samne phulon ka goya Dher hai
aashna Dube bahut is daur mein
garche jama yar ka kam-gher hai
aanchal us daman ka hath aata nahin
'mir' dariya ka sa us ka pher hai
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 6, Ghazal No- 1878
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.