mar hi jawenge bahut hijr mein nashad rahe
mar hī jāveñge bahut hijr meñ nāshād rahe
bhuul to ham ko ga.e ho ye tumheñ yaad rahe
ham se dīvāne raheñ shahr meñ sub.hān-allāh
dasht meñ qais rahe koh meñ farhād rahe
kuchh bhī nisbat na thī jab dair se tab kyā thā shaiḳh
ham haram meñ bhī rahe to tire dāmād rahe
duur itnī to nahīñ shām-e-ajal duurī meñ
tā-sahar aisī hī jo zārī-o-fariyād rahe
sar to kaTvā hī chuke 'mīr' taḌap se to bacheñ
jo Tuk ik paañv rakhe chhātī pe jallād rahe
mar hi jawenge bahut hijr mein nashad rahe
bhul to hum ko gae ho ye tumhein yaad rahe
hum se diwane rahen shahr mein subhan-allah
dasht mein qais rahe koh mein farhad rahe
kuchh bhi nisbat na thi jab dair se tab kya tha shaiKH
hum haram mein bhi rahe to tere damad rahe
dur itni to nahin sham-e-ajal duri mein
ta-sahar aisi hi jo zari-o-fariyaad rahe
sar to kaTwa hi chuke 'mir' taDap se to bachen
jo Tuk ek panw rakhe chhati pe jallad rahe
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0536
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.