mat is chaman mein ghuncha-rawish bud-o-bash kar
mat is chaman meñ ġhuncha-ravish būd-o-bāsh kar
mānind-e-gul-shagufta-jabīñ yaañ ma.āsh kar
dil rakh qavī falak kī zabardastī par na jā
gar kushtī lag ga.ī hai to tū bhī talāsh kar
hai kyā tū jaise ġhuncha bañdhī muTThī jā chalā
mat gul ke rang muñh ko khulā raaz faash kar
yūñhī hai sīna-kūbī agar chāhe dil kī daad
peshānī ko salīqe se dikhlā ḳharāsh kar
phirtā hai kyā tū 'mīr' gulistāñ meñ ġham-zada
kuchh dil-ḳharāsh likh bhī qalam ik tarāsh kar
mat is chaman mein ghuncha-rawish bud-o-bash kar
manind-e-gul-shagufta-jabin yan maash kar
dil rakh qawi falak ki zabardasti par na ja
gar kushti lag gai hai to tu bhi talash kar
hai kya tu jaise ghuncha bandhi muTThi ja chala
mat gul ke rang munh ko khula raaz fash kar
yunhi hai sina-kubi agar chahe dil ki dad
peshani ko saliqe se dikhla KHarash kar
phirta hai kya tu 'mir' gulistan mein gham-zada
kuchh dil-KHarash likh bhi qalam ek tarash kar
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 4, Ghazal No- 1385
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.