mat sahl samjho aise hain hum kya ware dhare
mat sahl samjho aise haiñ ham kyā vare dhare
zāhir to paas baiThe haiñ par haiñ bahut pare
saḳhtī bahut hai pās-o-murā.āt-e-ishq meñ
patthar ke dil jigar hoñ to koī vafā kare
ḳhālī karūñ huuñ ro ro ke rātoñ ko dil ke tiiñ
insāf kar ki yuuñ koī din kab talak bhare
ruñdhne ne jī ke ḳhaak meñ ham ko milā diyā
goyā ki āsmān bahut aa gayā vare
dāḌhī ko terī dekh ke hañste haiñ laḌke shaiḳh
is rīsh-ḳhand ko bhī samajh Tuk tū masḳhare
jal-thal faqat nahīñ mire rone se bhar ga.e
jangal paḌe the sūkhe so vo bhī hue hare
jī ko bachā rakheñge to jāneñge ishq meñ
har-chand 'mīr' sāhib-e-qibla haiñ mangare
mat sahl samjho aise hain hum kya ware dhare
zahir to pas baiThe hain par hain bahut pare
saKHti bahut hai pas-o-muraat-e-ishq mein
patthar ke dil jigar hon to koi wafa kare
KHali karun hun ro ro ke raaton ko dil ke tin
insaf kar ki yun koi din kab talak bhare
rundhne ne ji ke KHak mein hum ko mila diya
goya ki aasman bahut aa gaya ware
daDhi ko teri dekh ke hanste hain laDke shaiKH
is rish-KHand ko bhi samajh Tuk tu masKHare
jal-thal faqat nahin mere rone se bhar gae
jangal paDe the sukhe so wo bhi hue hare
ji ko bacha rakhenge to jaanenge ishq mein
har-chand 'mir' sahib-e-qibla hain mangare
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0972
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.