mausam hai nikle shaKHon se patte hare hare
mausam hai nikle shāḳhoñ se patte hare hare
paude chaman meñ phūloñ se dekhe bhare bhare
aage kisū ke kyā kareñ dast-e-tama.a darāz
vo haath so gayā hai sirhāne dhare dhare
kyā samjhe us ke rutba-e-ālī ko ahl-e-ḳhāk
phirte haiñ juuñ sipahr bahut ham vare vare
martā thā maiñ to baaz rakhā marne se mujhe
ye kah ke koī aisā kare hai are are
gulshan meñ aag lag rahī thī rang-e-gul se 'mīr'
bulbul pukārī dekh ke sāhab pare pare
mausam hai nikle shaKHon se patte hare hare
paude chaman mein phulon se dekhe bhare bhare
aage kisu ke kya karen dast-e-tama daraaz
wo hath so gaya hai sirhane dhare dhare
kya samjhe us ke rutba-e-ali ko ahl-e-KHak
phirte hain jun sipahr bahut hum ware ware
marta tha main to baz rakha marne se mujhe
ye kah ke koi aisa kare hai are are
gulshan mein aag lag rahi thi rang-e-gul se 'mir'
bulbul pukari dekh ke sahab pare pare
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 4, Ghazal No- 1507
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.