mere malik ne mere haq mein ye ehsan kiya
mere mālik ne mire haq meñ ye ehsān kiyā
ḳhāk-e-nāchīz thā maiñ so mujhe insān kiyā
is sire dil kī ḳharābī huī ai 'ishq dareġh
tū ne kis ḳhāna-e-matbū' ko vīrān kiyā
zabt thā jab ta.iiñ chāhat na huī thī zāhir
ashk ne bah ke mire chehre pe tūfān kiyā
intihā shauq kī dil ke jo sabā se pūchhī
ik kaf-e-ḳhāk ko le un ne pareshān kiyā
mujh ko shā'ir na kaho 'mīr' ki sāhib maiñ ne
dard-o-ġham kitne kiye jam' to dīvān kiyā
mere malik ne mere haq mein ye ehsan kiya
KHak-e-nachiz tha main so mujhe insan kiya
is sire dil ki KHarabi hui ai 'ishq daregh
tu ne kis KHana-e-matbu' ko viran kiya
zabt tha jab tain chahat na hui thi zahir
ashk ne bah ke mere chehre pe tufan kiya
intiha shauq ki dil ke jo saba se puchhi
ek kaf-e-KHak ko le un ne pareshan kiya
mujh ko sha'ir na kaho 'mir' ki sahib main ne
dard-o-gham kitne kiye jam' to diwan kiya
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1055
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.