milne lage ho der der dekhiye kya hai kya nahin
milne lage ho der der dekhiye kyā hai kyā nahīñ
tum to karo ho sāhabī bande meñ kuchh rahā nahīñ
bū-e-gul aur rang-e-gul donoñ haiñ dilkash ai nasīm
lek ba-qadr-e-yak-nigāh dekhiye to vafā nahīñ
shikva karūñ huuñ baḳht kā itne ġhazab na ho butāñ
mujh ko ḳhudā-na-ḳhvāsta tum se to kuchh gila nahīñ
naale kiyā na kar sunā nauhe mire pe andalīb
baat meñ baat aib hai maiñ ne tujhe kahā nahīñ
ḳhvāb-e-ḳhush-e-sahar se shoḳh tujh ko sabā jagā ga.ī
mujh pe abas hai be-dimāġh maiñ ne to kuchh kahā nahīñ
chashm-e-safed-o-ashk-e-surḳh āh-e-dil-e-hazīñ hai yaañ
shīsha nahīñ hai mai nahīñ abr nahīñ havā nahīñ
ek faqat hai sādgī tis pe balā-e-jāñ hai tū
ishva karishma kuchh nahīñ aan nahīñ adā nahīñ
āb-o-havā-e-mulk-e-ishq tajraba kī hai maiñ bahut
kar ke davā-e-dard-e-dil koī bhī phir jiyā nahīñ
hove zamāna kuchh se kuchh chhūTe hai dil lagā mirā
shoḳh kisī hī aan meñ tujh se to maiñ judā nahīñ
nāz-e-butāñ uThā chukā dair ko 'mīr' tark kar
ka.abe meñ jā ke baiTh myaañ tere magar ḳhudā nahīñ
milne lage ho der der dekhiye kya hai kya nahin
tum to karo ho sahabi bande mein kuchh raha nahin
bu-e-gul aur rang-e-gul donon hain dilkash ai nasim
lek ba-qadr-e-yak-nigah dekhiye to wafa nahin
shikwa karun hun baKHt ka itne ghazab na ho butan
mujh ko KHuda-na-KHwasta tum se to kuchh gila nahin
nale kiya na kar suna nauhe mere pe andalib
baat mein baat aib hai main ne tujhe kaha nahin
KHwab-e-KHush-e-sahar se shoKH tujh ko saba jaga gai
mujh pe abas hai be-dimagh main ne to kuchh kaha nahin
chashm-e-safed-o-ashk-e-surKH aah-e-dil-e-hazin hai yan
shisha nahin hai mai nahin abr nahin hawa nahin
ek faqat hai sadgi tis pe bala-e-jaan hai tu
ishwa karishma kuchh nahin aan nahin ada nahin
aab-o-hawa-e-mulk-e-ishq tajraba ki hai main bahut
kar ke dawa-e-dard-e-dil koi bhi phir jiya nahin
howe zamana kuchh se kuchh chhuTe hai dil laga mera
shoKH kisi hi aan mein tujh se to main juda nahin
naz-e-butan uTha chuka dair ko 'mir' tark kar
kabe mein ja ke baiTh myan tere magar KHuda nahin
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0335
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.