mere is ruk ke mar jaane se wo ghafil hai kya jaane
mire is ruk ke mar jaane se vo ġhāfil hai kyā jaane
guzarnā jaan se āsāñ bahut mushkil hai kyā jaane
koī sar sang se maaro kisī kā vāpsīñ dam ho
vo ā.īne meñ apne naaz par maa.il hai kyā jaane
nazar mutlaq nahīñ hijrāñ meñ us ko haal par mere
mirā dil us ke ġham meñ goyā us kā dil hai kyā jaane
junūnī ḳhabtī dīvāna saḌā koī ishq ko samjhe
falātūñ se nahīñ yaañ bahas vo aaqil hai kyā jaane
taḌapnā naqsh-e-pā-e-nāqa par jaane hai ik majnūñ
bayābāñ meñ vo lailā kā kidhar mahmil hai kyā jaane
paḌhāyā us ko bahterā ki mat lā rāz-e-dil muñh par
pe tifl-e-ashk ko dekhā to nā-qābil hai kyā jaane
taraf honā mirā mushkil hai 'mīr' is sher ke fan meñ
yūñhīñ 'saudā' kabhū hotā hai so jāhil hai kyā jaane
mere is ruk ke mar jaane se wo ghafil hai kya jaane
guzarna jaan se aasan bahut mushkil hai kya jaane
koi sar sang se maro kisi ka wapsin dam ho
wo aaine mein apne naz par mail hai kya jaane
nazar mutlaq nahin hijran mein us ko haal par mere
mera dil us ke gham mein goya us ka dil hai kya jaane
jununi KHabti diwana saDa koi ishq ko samjhe
falatun se nahin yan bahas wo aaqil hai kya jaane
taDapna naqsh-e-pa-e-naqa par jaane hai ek majnun
bayaban mein wo laila ka kidhar mahmil hai kya jaane
paDhaya us ko bahtera ki mat la raaz-e-dil munh par
pe tifl-e-ashk ko dekha to na-qabil hai kya jaane
taraf hona mera mushkil hai 'mir' is sher ke fan mein
yunhin 'sauda' kabhu hota hai so jahil hai kya jaane
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0592
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.