mohabbat ne khoya khapaya hamein
mohabbat ne khoyā khapāyā hameñ
bahut un ne DhūñDā na paayā hameñ
phirā karte haiñ dhuup meñ jalte ham
huā hai kahe tū ki saaya hameñ
gahe tar rahīñ gaah ḳhūñ-basta thiiñ
in āñkhoñ ne kyā kyā dikhāyā hameñ
biThā us kī ḳhātir meñ naqsh-e-vafā
nahīñ to uThā le ḳhudāyā hameñ
male Daale hai dil koī ishq meñ
ye kyā rog yā-rab lagāyā hameñ
huī us galī meñ to miTTī aziiz
vale ḳhvāriyoñ se uThāyā hameñ
javānī divānī sunā kyā nahīñ
hasīnoñ kā milnā hī bhāyā hameñ
na samjhī ga.ī dushmanī ishq kī
bahut dostoñ ne jatāyā hameñ
koī dam kal aa.e the majlis meñ 'mīr'
bahut is ġhazal par rulāyā hameñ
mohabbat ne khoya khapaya hamein
bahut un ne DhunDa na paya hamein
phira karte hain dhup mein jalte hum
hua hai kahe tu ki saya hamein
gahe tar rahin gah KHun-basta thin
in aankhon ne kya kya dikhaya hamein
biTha us ki KHatir mein naqsh-e-wafa
nahin to uTha le KHudaya hamein
male Dale hai dil koi ishq mein
ye kya rog ya-rab lagaya hamein
hui us gali mein to miTTi aziz
wale KHwariyon se uThaya hamein
jawani diwani suna kya nahin
hasinon ka milna hi bhaya hamein
na samjhi gai dushmani ishq ki
bahut doston ne jataya hamein
koi dam kal aae the majlis mein 'mir'
bahut is ghazal par rulaya hamein
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0902
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.