muddat se ab wahi hai mera ham-kanar dil
muddat se ab vahī hai mirā ham-kanār dil
āzurda-dil sitam-zada-o-be-qarār dil
jo kahiye hai fasurda-o-murda za’īf-o-zār
nā-chār der ham rahe haiñ maar maar dil
do-chār dil se raazī nahīñ hote dil-barāñ
shāyad tasallī un kī ho jo leñ hazār dil
ḳhud-gum hai nā-shakeb-o-mukaddar hai muztarib
kab tak rakhūñgā haath tale pur-ġhubār dil
hai 'mīr' 'ishq husn ke bhī jāzibe ke tiiñ
khiñchtā hai sū-e-yār hī be-iḳhtiyār dil
muddat se ab wahi hai mera ham-kanar dil
aazurda-dil sitam-zada-o-be-qarar dil
jo kahiye hai fasurda-o-murda za’if-o-zar
na-chaar der hum rahe hain mar mar dil
do-chaar dil se raazi nahin hote dil-baran
shayad tasalli un ki ho jo len hazar dil
KHud-gum hai na-shakeb-o-mukaddar hai muztarib
kab tak rakhunga hath tale pur-ghubar dil
hai 'mir' 'ishq husn ke bhi jazibe ke tin
khinchta hai su-e-yar hi be-iKHtiyar dil
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1675
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.