Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mue jate the fart-e-ulfat se hum

Meer Taqi Meer

mue jate the fart-e-ulfat se hum

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    mue jaate the fart-e-ulfat se ham

    jiye haiñ ḳhudā qudrat se ham

    turush-rū bahut hai vo zar-gar pisar

    paḌe haiñ khaTā.ī meñ muddat se ham

    nahīñ dekhte sub.h ab aarsī

    ḳhafā rahte haiñ apnī sūrat se ham

    jo dekho vo qāmat to ma.alūm ho

    ki rū-kash hue haiñ qayāmat se ham

    na Tuk sakā taab jalve dil

    gila rakhte haiñ sabr-o-tāqat se ham

    na maanī koī un ne phir ruuTh kar

    manāte rahe raat minnat se ham

    ḳhudā se bhī shab ko duā māñgte

    na us liyā naam ġhairat se ham

    rakhā jis ko āñkhoñ meñ ik umr ab

    use dekh rahte haiñ hasrat se ham

    bharī āñkheñ lohū se rahne lagīñ

    ye rang apnā dekhā muravvat se ham

    na mil 'mīr' ab ke amīroñ se

    hue haiñ faqīr un daulat se ham

    mue jate the fart-e-ulfat se hum

    jiye hain KHuda hi ki qudrat se hum

    turush-ru bahut hai wo zar-gar pisar

    paDe hain khaTai mein muddat se hum

    nahin dekhte subh ab aarsi

    KHafa rahte hain apni surat se hum

    jo dekho wo qamat to malum ho

    ki ru-kash hue hain qayamat se hum

    na Tuk la saka tab jalwe ki dil

    gila rakhte hain sabr-o-taqat se hum

    na mani koi un ne phir ruTh kar

    manate rahe raat minnat se hum

    KHuda se bhi shab ko dua mangte

    na us ka liya nam ghairat se hum

    rakha jis ko aankhon mein ek umr ab

    use dekh rahte hain hasrat se hum

    bhari aankhen lohu se rahne lagin

    ye rang apna dekha murawwat se hum

    na mil 'mir' ab ke amiron se tu

    hue hain faqir un ki daulat se hum

    Source :
    • Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0862
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now