mughan mujh mast bin phir KHanda-e-saghar na howega
muġhāñ mujh mast bin phir ḳhanda-e-sāġhar na hovegā
mai-e-gulgūñ kā shīsha hichkiyāñ le le ke rovegā
kiyā hai ḳhuuñ mirā pāmāl ye surḳhī na chhuTegī
agar qātil tū apne paañv sau paanī se dhovegā
koī rahtā hai jiite jī tire kūche ke aane se
tabhī āsūda hogā 'mīr' sā jab jī ko khovegā
mughan mujh mast bin phir KHanda-e-saghar na howega
mai-e-gulgun ka shisha hichkiyan le le ke rowega
kiya hai KHun mera pamal ye surKHi na chhuTegi
agar qatil tu apne panw sau pani se dhowega
koi rahta hai jite ji tere kuche ke aane se
tabhi aasuda hoga 'mir' sa jab ji ko khowega
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0129
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.