mujhe to dard se ek uns hai wafa ki qasam
mujhe to dard se ik uns hai vafā kī qasam
yahī sabab hai jo khaa.ī hai maiñ davā kī qasam
kal un ne teġh rakhī darmiyāñ ki qat' hai ab
qasam jo biich meñ aa.ī so us adā kī qasam
hinā lagī tire hāthoñ se maiñ gayā piisā
jigar tamām hai ḳhuuñ mujh ko tere pā kī qasam
faqīr hone ne sab e’tibār khoyā hai
qasam jo khā.ūñ to kahte haiñ kyā gadā kī qasam
qadam tale hī rahā us ke ye sar-e-pur-shor
jo khā.iye to mire tāle’-e-rasā kī qasam
saroñ pe haath kabhū teġh par kabhū us kā
kuchh ek qism nahīñ mere āshnā kī qasam
jidāl dair ke rahbān se kahāñ tak 'mīr'
uTho haram ko chalo ab tumheñ ḳhudā kī qasam
mujhe to dard se ek uns hai wafa ki qasam
yahi sabab hai jo khai hai main dawa ki qasam
kal un ne tegh rakhi darmiyan ki qat' hai ab
qasam jo bich mein aai so us ada ki qasam
hina lagi tere hathon se main gaya pisa
jigar tamam hai KHun mujh ko tere pa ki qasam
faqir hone ne sab e’tibar khoya hai
qasam jo khaun to kahte hain kya gada ki qasam
qadam tale hi raha us ke ye sar-e-pur-shor
jo khaiye to mere tale’-e-rasa ki qasam
saron pe hath kabhu tegh par kabhu us ka
kuchh ek qism nahin mere aashna ki qasam
jidal dair ke rahban se kahan tak 'mir'
uTho haram ko chalo ab tumhein KHuda ki qasam
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0856
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.