mujhe zinhaar KHush aata nahin kabe ka ham-saya
mujhe zinhār ḳhush aatā nahīñ ka.abe kā ham-sāyā
sanam-ḳhāna hī yaañ ai shaiḳh tū ne kyoñ na banvāyā
zahe ai ishq kī nairang-sāzī ġhair ko un ne
jalāyā baat kahte vaañ hameñ marne ko farmāyā
bharī hai aag tere dard-e-dil meñ 'mīr' aisī to
ki kahte rū-ba-rū us shoḳh ke qāsid kā muñh aaya
mujhe zinhaar KHush aata nahin kabe ka ham-saya
sanam-KHana hi yan ai shaiKH tu ne kyon na banwaya
zahe ai ishq ki nairang-sazi ghair ko un ne
jalaya baat kahte wan hamein marne ko farmaya
bhari hai aag tere dard-e-dil mein 'mir' aisi to
ki kahte ru-ba-ru us shoKH ke qasid ka munh aaya
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0130
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.