munh apna kabhu wo idhar kar rahega
muñh apnā kabhū vo idhar kar rahegā
hameñ ishq hai to asar kar rahegā
jo dilbar hai aisā to dil jā chukā hai
kisū roz āñkhoñ meñ ghar kar rahegā
har ik kaam mauqūf hai vaqt par hī
dil-e-ḳhūñ-shuda bhī jigar kar rahegā
na hoñ go ḳhabar mardumāñ hāl-e-bad se
mirā naala sab ko ḳhabar kar rahegā
fan-e-sher meñ 'mīr' sannā.a hai vo
dil us kā koī to hunar kar rahegā
munh apna kabhu wo idhar kar rahega
hamein ishq hai to asar kar rahega
jo dilbar hai aisa to dil ja chuka hai
kisu roz aankhon mein ghar kar rahega
har ek kaam mauquf hai waqt par hi
dil-e-KHun-shuda bhi jigar kar rahega
na hon go KHabar marduman haal-e-bad se
mera nala sab ko KHabar kar rahega
fan-e-sher mein 'mir' sannaa hai wo
dil us ka koi to hunar kar rahega
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1540
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.