munh dhote uske aata to hai aksar aaftab
muñh dhote us ke aatā to hai aksar āftāb
khāvegā āftābah koī ḳhud-sar āftāb
sar sadqe tere hone kī ḳhātir bahut hai garm
maarā kare hai shām-o-sahar chakkar āftāb
har ḳhāna kyoñ na sub.h-e-jahāñ meñ ho pur-faroġh
phirtā hai jhāñktā usī ko ghar ghar āftāb
tajrīd kā farāġh hai yak daulat-e-azīm
bhāge hai apne saa.e se bhī ḳhush-tar āftāb
nāzuk mizāj hai tū kahīñ ghar se mat nikal
hotā hai dopahar ke ta.iiñ sar par āftāb
paidā hai roz-e-mashriq-e-nau kī numūd sī
aa.e hai kū-e-yār se bach bach kar āftāb
ho past us ke nuur kā zer-e-zamīñ gayā
har-chand sab sitāroñ se thā bartar āftāb
us ruḳh kī raushnī meñ na ma.alūm kuchh huā
mah gum kidhar huā hai gayā kīdhar āftāb
kis roz-kash kī qaus-e-quzah hai kamān-e-pāk
jis kī uThā sakā na kabhū sesar āftāb
raushan hai ye ki ḳhauf hai us ġhussa-var kā 'mīr'
nikle hai sub.h kāñptā jo tharthar āftāb
munh dhote us ke aata to hai aksar aaftab
khawega aaftabah koi KHud-sar aaftab
sar sadqe tere hone ki KHatir bahut hai garm
mara kare hai sham-o-sahar chakkar aaftab
har KHana kyon na subh-e-jahan mein ho pur-farogh
phirta hai jhankta usi ko ghar ghar aaftab
tajrid ka faragh hai yak daulat-e-azim
bhage hai apne sae se bhi KHush-tar aaftab
nazuk mizaj hai tu kahin ghar se mat nikal
hota hai dopahar ke tain sar par aaftab
paida hai roz-e-mashriq-e-nau ki numud si
aae hai ku-e-yar se bach bach kar aaftab
ho past us ke nur ka zer-e-zamin gaya
har-chand sab sitaron se tha bartar aaftab
us ruKH ki raushni mein na malum kuchh hua
mah gum kidhar hua hai gaya kidhar aaftab
kis roz-kash ki qaus-e-quzah hai kaman-e-pak
jis ki uTha saka na kabhu sesar aaftab
raushan hai ye ki KHauf hai us ghussa-war ka 'mir'
nikle hai subh kanpta jo tharthar aaftab
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 6, Ghazal No- 1811
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.