munh pe rakhta hai wo naqab bahut
muñh pe rakhtā hai vo naqāb bahut
ham se kartā hai ab hijāb bahut
chashmak-e-gul kā lutf bhī na uThā
kam rahā mausam-e-shabāb bahut
der bhī kuchh lagī na marte hameñ
umr jaatī rahī shitāb bahut
DhūñDte us ko kūche kūche phire
dil ne ham ko kiyā ḳharāb bahut
chalnā apnā qarīb hai shāyad
jaañ kare hai ab iztirāb bahut
tauba mai se bahār meñ na karūñ
go kare shaiḳh ehtisāb bahut
us ġhusaile se kyā kisū kī nibhe
mehrbānī hai kam itaab bahut
kushtan-e-mardumāñ agar hai savāb
to huā hai use savāb bahut
der tak ka.abe meñ the shab behosh
pī ga.e 'mīr' jī sharāb bahut
munh pe rakhta hai wo naqab bahut
hum se karta hai ab hijab bahut
chashmak-e-gul ka lutf bhi na uTha
kam raha mausam-e-shabab bahut
der bhi kuchh lagi na marte hamein
umr jati rahi shitab bahut
DhunDte us ko kuche kuche phire
dil ne hum ko kiya KHarab bahut
chalna apna qarib hai shayad
jaan kare hai ab iztirab bahut
tauba mai se bahaar mein na karun
go kare shaiKH ehtisab bahut
us ghusaile se kya kisu ki nibhe
mehrbani hai kam itab bahut
kushtan-e-marduman agar hai sawab
to hua hai use sawab bahut
der tak kabe mein the shab behosh
pi gae 'mir' ji sharab bahut
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 6, Ghazal No- 1816
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.