na aa dam mein murgh fariyaad kijo
na aa daam meñ murġh fariyād kiijo
Tuk ik ḳhātir-e-ḳhvāb-e-sayyād kiijo
ye tohmat baḌī hai ki mar ga.ī hai shīrīñ
tahammul Tuk ai marg-e-farhād kiijo
ġham-e-gul meñ martā huuñ ai ham safīro
chaman meñ jo jaao mujhe yaad kiijo
rihā.ī marī mudda'ī zo'f se hai
tū sayyād mujh ko na āzād kiijo
mire rū-ba-rū aa.ina le ke zālim
dam-e-vāpsīñ meñ to tū shaad kiijo
judā tan se karte hī pāmāl karnā
ye ehsāñ mire sar pe jallād kiijo
na aa dam mein murgh fariyaad kijo
Tuk ek KHatir-e-KHwab-e-sayyaad kijo
ye tohmat baDi hai ki mar gai hai shirin
tahammul Tuk ai marg-e-farhad kijo
gham-e-gul mein marta hun ai hum safiro
chaman mein jo jao mujhe yaad kijo
rihai mari mudda'i zo'f se hai
tu sayyaad mujh ko na aazad kijo
mere ru-ba-ru aaina le ke zalim
dam-e-wapsin mein to tu shad kijo
juda tan se karte hi pamal karna
ye ehsan mere sar pe jallad kijo
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0412
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.