na gulshan mein chaman par in ne bulbul tujhko ja di hai

na gulshan mein chaman par in ne bulbul tujhko ja di hai
Meer Taqi Meer
MORE BYMeer Taqi Meer
na gulshan meñ chaman par in ne bulbul tujh ko jā dī hai
sipās iizid ke kar jin ne ki ye Daalī navā dī hai
nahīñ Tuk baiThne dete tum apnī bazm meñ ham ko
muravvat rasm thī muddat kī so tum ne uThā dī hai
rihā.ī changul-e-bāz-e-falak se mujh ko mushkil thī
mirī ye band chiḌiyā kī sī maulā ne chhuḌā dī hai
galī meñ apnī qadġhan kar rakho aane na pā.ūñ maiñ
kahīñ kyā aur bhī dil ke lagāne kī munādī hai
tapish se rang uḌā jaave qalaq se jaan ghabrāve
diyā hai dil ilāhī ham ko yā koī balā dī hai
dar-e-gulzār pesh-az-sub.h vā ai bāġhbāñ mat kar
uḌā letī hai miTTī bhī sabā ik chor-bādī hai
koī sūrat nahīñ is ghar se ab tere nikalne kī
qayāmat kī hai jin ne aarsī tujh ko dikhā dī hai
mujhe manzūr kyā hai zulf-o-ḳhāl-o-ḳhatt-e-ḳhūbāñ se
ḳhudā ne dekhne kī lat sī āñkhoñ ko lagā dī hai
kajī-e-zehn is vaadī meñ gumrāhī kī hai bā'is
salīmuttab’ ko to paañv kā har naqsh haadī hai
lagā rahtā hai siine hī se baiThā huuñ ki sotā huuñ
ġharaz chhātī mirī dāġh-e-judā.ī ne jalā dī hai
na chhūTā dil meñ kuchh us ke ga.e par ġhārat-e-ġham se
hazār afsos kyā bastī mohabbat ne luTā dī hai
na kaTtī Tuk na hotī gar faqīrī saath ulfat ke
hameñ jab un ne gaalī dī hai tab ham ne du'ā dī hai
huī hai dil kī mahviyyat se yaksāñ yaañ ġham-o-farhat
na mātam marne kā hai 'mīr' nai jiine kī shādī hai
na gulshan mein chaman par in ne bulbul tujh ko ja di hai
sipas izid ke kar jin ne ki ye Dali nawa di hai
nahin Tuk baiThne dete tum apni bazm mein hum ko
murawwat rasm thi muddat ki so tum ne uTha di hai
rihai changul-e-baz-e-falak se mujh ko mushkil thi
meri ye band chiDiya ki si maula ne chhuDa di hai
gali mein apni qadghan kar rakho aane na paun main
kahin kya aur bhi dil ke lagane ki munadi hai
tapish se rang uDa jawe qalaq se jaan ghabrawe
diya hai dil ilahi hum ko ya koi bala di hai
dar-e-gulzar pesh-az-subh wa ai baghban mat kar
uDa leti hai miTTi bhi saba ek chor-baadi hai
koi surat nahin is ghar se ab tere nikalne ki
qayamat ki hai jin ne aarsi tujh ko dikha di hai
mujhe manzur kya hai zulf-o-KHal-o-KHatt-e-KHuban se
KHuda ne dekhne ki lat si aankhon ko laga di hai
kaji-e-zehn is wadi mein gumrahi ki hai ba'is
salimuttab’ ko to panw ka har naqsh hadi hai
laga rahta hai sine hi se baiTha hun ki sota hun
gharaz chhati meri dagh-e-judai ne jala di hai
na chhuTa dil mein kuchh us ke gae par ghaarat-e-gham se
hazar afsos kya basti mohabbat ne luTa di hai
na kaTti Tuk na hoti gar faqiri sath ulfat ke
hamein jab un ne gali di hai tab hum ne du'a di hai
hui hai dil ki mahwiyyat se yaksan yan gham-o-farhat
na matam marne ka hai 'mir' nai jine ki shadi hai
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 1043
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.