na KHatir par alam tere na dil par kuchh sitam tere
na ḳhātir par alam tere na dil par kuchh sitam tere
mahall-e-rahm hoveñ kis tarah mazlūm ham tere
jo Tuk bhī sāya-gustar hogā tū is ḳhushk mazra' par
bahut ham hoñge ehsāñ-mand ai abr-e-karam tere
unhīñ kī tab.a jān-e-'mīr' maa.il hogī sumbul kī
nahīñ dekhe jinhoñ ne gesu-e-pur-pech-o-ḳham tere
na KHatir par alam tere na dil par kuchh sitam tere
mahall-e-rahm howen kis tarah mazlum hum tere
jo Tuk bhi saya-gustar hoga tu is KHushk mazra' par
bahut hum honge ehsan-mand ai abr-e-karam tere
unhin ki taba jaan-e-'mir' mail hogi sumbul ki
nahin dekhe jinhon ne gesu-e-pur-pech-o-KHam tere
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 4, Ghazal No- 1509
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.