na KHosha yan na dana yan jalana ghas kya hasil
na ḳhosha yaañ na daana yaañ jalānā ghaas kyā hāsil
tirā ai barq-e-ḳhātif is taraf girnā hai lā-hāsil
sikandar ho ke mālik saat iqlīmoñ kā āḳhir ko
gayā dast-e-tahī le yaañ se ye kuchh kar gayā hāsil
balā qaht-e-murāvat hai ki hai mahsūl galle par
kahīñ se chaar daane laao leveñ jā-ba-jā hāsil
na khīñcheñ kyūñke nuqsāñ ham to qaidī haiñ ta.ayyun ke
ḳhudī se koī nikle to use hove ḳhudā hāsil
ibārat ḳhuub likkhī shā.erī inshā-tarāzī kī
vale matlab hai ġham dekheñ to kab ho mudda.ā hāsil
bahut masrūf-e-kisht-o-kār the mazra' meñ duniyā ke
uThā hasrat se haath āḳhir hameñ ye kuchh huā hāsil
phirā mat 'mīr' sar apnā girāñ-goshoñ kī majlis meñ
sune koī to kuchh kahiye bhī is kahne kā kyā hāsil
na KHosha yan na dana yan jalana ghas kya hasil
tera ai barq-e-KHatif is taraf girna hai la-hasil
sikandar ho ke malik sat iqlimon ka aaKHir ko
gaya dast-e-tahi le yan se ye kuchh kar gaya hasil
bala qaht-e-murawat hai ki hai mahsul galle par
kahin se chaar dane lao lewen ja-ba-ja hasil
na khinchen kyunke nuqsan hum to qaidi hain tayyun ke
KHudi se koi nikle to use howe KHuda hasil
ibarat KHub likkhi shaeri insha-taraazi ki
wale matlab hai gham dekhen to kab ho muddaa hasil
bahut masruf-e-kisht-o-kar the mazra' mein duniya ke
uTha hasrat se hath aaKHir hamein ye kuchh hua hasil
phira mat 'mir' sar apna giran-goshon ki majlis mein
sune koi to kuchh kahiye bhi is kahne ka kya hasil
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1165
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.