na-ashna ke apne jaise hum aashna hain
nā-āshnā ke apne jaise ham āshnā haiñ
is taur is tarah ke aise kam āshnā haiñ
bāham jo yāriyāñ haiñ aur āshnā.iyāñ haiñ
sab haiñ nazar meñ apnī ham ālam-āshnā haiñ
mātam-kada hai takiya kyā taaza kuchh hamārā
yakjā faqīr kab se ham sab ġham-āshnā haiñ
tahrīr rāz-e-dil kī mushkil hai kyūñke kariye
kāġhaz qalam hamāre kab mahram-āshnā haiñ
yaarī jahāniyoñ kī kyā 'mīr' mo'atabar hai
nā-āshnā haiñ yak-dam ye ik-dam āshnā haiñ
na-ashna ke apne jaise hum aashna hain
is taur is tarah ke aise kam aashna hain
baham jo yariyan hain aur aashnaiyan hain
sab hain nazar mein apni hum aalam-ashna hain
matam-kada hai takiya kya taza kuchh hamara
yakja faqir kab se hum sab gham-ashna hain
tahrir raaz-e-dil ki mushkil hai kyunke kariye
kaghaz qalam hamare kab mahram-ashna hain
yari jahaniyon ki kya 'mir' mo'atabar hai
na-ashna hain yak-dam ye ik-dam aashna hain
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 6, Ghazal No- 1854
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.