nala-e-shab ne kiya hai jo asar mat puchho
nāla-e-shab ne kiyā hai jo asar mat pūchho
TukḌe TukḌe huā jaatā hai jigar mat pūchho
pūchhte kyā ho mire dil kā tum ahvāl ki hai
jaise bīmār-e-ajal roz batar mat pūchho
marne meñ band zabāñ honā ishārat hai nadīm
ya.anī hai duur kā darpesh safar mat pūchho
kyā phire vo vatan-āvāra gayā ab so gayā
dil-e-gum-karda kī kuchh ḳhair-ḳhabar mat pūchho
lazzat-e-zahr-e-ġham-e-furqat-e-dil-dārāñ se
hove muñh meñ jinhoñ ke shahd-o-shakar mat pūchho
dil-ḳharāshī-o-jigar-chākī-o-sīna-kāvī
apne nāhaq meñ haiñ sab aur hunar mat pūchho
juuñ tuuñ kar hāl-e-dil ik baar to maiñ arz kiyā
'mīr' sāhib jī bas ab bār-e-digar mat pūchho
nala-e-shab ne kiya hai jo asar mat puchho
TukDe TukDe hua jata hai jigar mat puchho
puchhte kya ho mere dil ka tum ahwal ki hai
jaise bimar-e-ajal roz batar mat puchho
marne mein band zaban hona ishaarat hai nadim
yani hai dur ka darpesh safar mat puchho
kya phire wo watan-awara gaya ab so gaya
dil-e-gum-karda ki kuchh KHair-KHabar mat puchho
lazzat-e-zahr-e-gham-e-furqat-e-dil-daran se
howe munh mein jinhon ke shahd-o-shakar mat puchho
dil-KHarashi-o-jigar-chaaki-o-sina-kawi
apne nahaq mein hain sab aur hunar mat puchho
jun tun kar haal-e-dil ek bar to main arz kiya
'mir' sahib ji bas ab bar-e-digar mat puchho
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0404
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.