naz-o-ada ke sath wo dilbar shakil hai
nāz-o-adā ke saath vo dilbar shakīl hai
tasvīr chiiñ kī rū-barū us ke zalīl hai
ham ḳhaak muñh ko mal ke na juuñ aarsī phire
yaañ paas qurt-e-āb agar hai sabīl hai
jangal meñ ḳhizr-o-kā'ba kā honā mirī tarah
donoñ kī nā-rasā.ī ke uupar dalīl hai
aage junūñ se chhāñv meñ the sarv-o-gul kī ham
sar par hamāre sāya-fagan ab karīl hai
kuchh chīz-o-māl ho to ḳharīdār ho koī
duniyā kī qadr kyā ki matā'-e-qalīl hai
kyā ro.uuñ ashk aate haiñ āñkhoñ se sail-sail
pal mārne meñ pesh-e-nazar ek jhiil hai
aate nahīñ nazar meñ mirī hāthī ke savār
kānoñ meñ jo fasāna-e-as.hāb-e-fīl hai
ho sabr us jo yūsuf-e-sānī ke be-jamāl
to mus.haf-e-majīd meñ sabr-e-jamīl hai
shukr-o-gila se 'ishq ke labrez hai jahāñ
kariye jahāñ nigāh yahī qāl-o-qīl hai
ham der se haiñ muntazir-e-qad-kashī-e-yār
kuchh shāmat-e-'amal se qayāmat meñ Dhiil hai
jab dekhte haiñ 'mīr' tumheñ be-dimāġh ho
kaahe ko naaz 'ishq meñ sāhab daḳhīl hai
naz-o-ada ke sath wo dilbar shakil hai
taswir chin ki ru-baru us ke zalil hai
hum KHak munh ko mal ke na jun aarsi phire
yan pas qurt-e-ab agar hai sabil hai
jangal mein KHizr-o-ka'ba ka hona meri tarah
donon ki na-rasai ke upar dalil hai
aage junun se chhanw mein the sarw-o-gul ki hum
sar par hamare saya-fagan ab karil hai
kuchh chiz-o-mal ho to KHaridar ho koi
duniya ki qadr kya ki mata'-e-qalil hai
kya roun ashk aate hain aankhon se sail-sail
pal marne mein pesh-e-nazar ek jhil hai
aate nahin nazar mein meri hathi ke sawar
kanon mein jo fasana-e-ashab-e-fil hai
ho sabr us jo yusuf-e-sani ke be-jamal
to mushaf-e-majid mein sabr-e-jamil hai
shukr-o-gila se 'ishq ke labrez hai jahan
kariye jahan nigah yahi qal-o-qil hai
hum der se hain muntazir-e-qad-kashi-e-yar
kuchh shamat-e-'amal se qayamat mein Dhil hai
jab dekhte hain 'mir' tumhein be-dimagh ho
kahe ko naz 'ishq mein sahab daKHil hai
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1257
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.