nai tarzon se maiKHane mein rang-e-mai jhalakta tha
na.ī tarzoñ se maiḳhāne meñ rañg-e-mai jhalaktā thā
gulābī rotī thī vaañ jaam hans hans kar chhalaktā thā
tire us ḳhaak uḌāne kī dhamak se ai marī vahshat
kalejā reg-e-sahrā kā bhī das das gaz thilaktā thā
ga.ī tasbīh us kī naza.a meñ kab 'mīr' ke dil se
usī ke naam kī sumran thī jab munakkā Dhalaktā thā
nai tarzon se maiKHane mein rang-e-mai jhalakta tha
gulabi roti thi wan jam hans hans kar chhalakta tha
tere us KHak uDane ki dhamak se ai mari wahshat
kaleja reg-e-sahra ka bhi das das gaz thilakta tha
gai tasbih us ki naza mein kab 'mir' ke dil se
usi ke nam ki sumran thi jab munakka Dhalakta tha
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0124
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.