nazdik aashiqon ke zamin hai qarar-e-ishq
nazdīk āshiqoñ ke zamīñ hai qarār-e-ishq
aur āsmāñ ġhubār sar-e-rahguzār-e-ishq
maqbūl-e-shahr hī nahīñ majnūñ za.īf-o-zār
hai vahshiyān-e-dasht meñ bhī e'tibār-e-ishq
ghar kaise kaise diiñ ke buzurgoñ ke haiñ ḳharāb
al-qissa hai ḳharāba-e-kohna dayār-e-ishq
go zabt karte hoveñ jarāhat jigar ke zaḳhm
rotā nahīñ hai khol ke dil rāzdār-e-ishq
maarā paḌe hai uns hī karne meñ varna 'mīr'
hai daur-gard-e-vādī-e-vahshat shikār-e-ishq
nazdik aashiqon ke zamin hai qarar-e-ishq
aur aasman ghubar sar-e-rahguzar-e-ishq
maqbul-e-shahr hi nahin majnun zaif-o-zar
hai wahshiyan-e-dasht mein bhi e'tibar-e-ishq
ghar kaise kaise din ke buzurgon ke hain KHarab
al-qissa hai KHaraba-e-kohna dayar-e-ishq
go zabt karte howen jarahat jigar ke zaKHm
rota nahin hai khol ke dil raazdar-e-ishq
mara paDe hai uns hi karne mein warna 'mir'
hai daur-gard-e-wadi-e-wahshat shikar-e-ishq
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 4, Ghazal No- 1419
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.