pahunche hai hum ko ishq mein aazar har tarah
pahuñche hai ham ko ishq meñ āzār har tarah
hote haiñ ham sitam-zada bīmār har tarah
tarkīb-o-tar.h nāz-o-adā sab se dil-lagī
us tar.h-dār ke haiñ giraftār har tarah
yūsuf kī is nazīr se dil ko na jam.a rakh
aisī matā.a jaatī hai bāzār har tarah
jis tarah meñ dikhā.ī diyā us se lag paḌe
ham kusht-o-ḳhūñ ke haiñge sazā-vār har tarah
chhup luk ke bām-o-dar se galī kūche meñ se 'mīr'
maiñ dekh luuñ huuñ yaar ko ik baar har tarah
pahunche hai hum ko ishq mein aazar har tarah
hote hain hum sitam-zada bimar har tarah
tarkib-o-tarh naz-o-ada sab se dil-lagi
us tarh-dar ke hain giraftar har tarah
yusuf ki is nazir se dil ko na jama rakh
aisi mataa jati hai bazar har tarah
jis tarah mein dikhai diya us se lag paDe
hum kusht-o-KHun ke hainge saza-war har tarah
chhup luk ke baam-o-dar se gali kuche mein se 'mir'
main dekh lun hun yar ko ek bar har tarah
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 4, Ghazal No- 1376
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.