Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

phir ab chalo chaman mein khile ghunche ruk gae

Meer Taqi Meer

phir ab chalo chaman mein khile ghunche ruk gae

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    phir ab chalo chaman meñ khile ġhunche ruk ga.e

    shāḳhoñ samet phuul nihāloñ ke jhuk ga.e

    chandeñ hazār dīda-e-gul rah ga.e khule

    afsos hai chaman taraf tum na Tuk ga.e

    bhaḌkī thī jab ki ātish-e-gul phuul paḌ gayā

    bāl-o-par-e-tuyūr-e-chaman 'mīr' phuk ga.e

    phir ab chalo chaman mein khile ghunche ruk gae

    shaKHon samet phul nihaalon ke jhuk gae

    chanden hazar dida-e-gul rah gae khule

    afsos hai chaman ki taraf tum na Tuk gae

    bhaDki thi jab ki aatish-e-gul phul paD gaya

    baal-o-par-e-tuyur-e-chaman 'mir' phuk gae

    Source :
    • Book : MIRIYAAT - Diwan No- 4, Ghazal No- 1532
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now