phire hai wahshi sa gum-gashta ishq ka tera
phire hai vahshī sā gum-gashta ishq kā terā
sabhoñ se paate haiñ begāna āshnā terā
dareġh-o-dard tujhe kyoñ hai yaañ to jī hī ga.e
huā hai ek nigah meñ ziyān kyā terā
jahāñ bharā hai tire shor-e-husn-o-ḳhūbī se
laboñ pe logoñ ke hai zikr jā-ba-jā terā
nigāh ek idhar ek teġh-e-tez kī aur
hamārā ḳhuun hī karnā hai mudda.ā terā
nazar kinhoñ ne na kī hāl-e-'mīr' par afsos
ġharīb-e-shahr-e-vafā thā vo ḳhāk-e-pā terā
phire hai wahshi sa gum-gashta ishq ka tera
sabhon se pate hain begana aashna tera
daregh-o-dard tujhe kyon hai yan to ji hi gae
hua hai ek nigah mein ziyan kya tera
jahan bhara hai tere shor-e-husn-o-KHubi se
labon pe logon ke hai zikr ja-ba-ja tera
nigah ek idhar ek tegh-e-tez ki aur
hamara KHun hi karna hai muddaa tera
nazar kinhon ne na ki haal-e-'mir' par afsos
gharib-e-shahr-e-wafa tha wo KHak-e-pa tera
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 4, Ghazal No- 1329
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.