phirti hain uski aankhen aankhon tale hamesha
phirtī haiñ us kī āñkheñ āñkhoñ tale hamesha
rahtā hai āb-e-dīda yaañ tā-gale hamesha
tasdī' ek do din hove to koī khīñche
taḌpe jigar hamesha chhātī jale hamesha
ik us muġhal-bache ko vā'da vafā na karnā
kuchh jā kaheñ to karnā aare bale hamesha
kab tak vafā karegā yuuñ hausla hamārā
dil piise dard aksar ġham jī male hamesha
is jism-e-ḳhākī se ham miTTī meñ aT rahe haiñ
yuuñ ḳhaak meñ kahāñ tak koī rule hamesha
ā.inda-o-ravinda bād-e-sahar kabūtar
qāsid nayā udhar ko kab tak chale hamesha
masjid meñ chal ke miliye jum'e ke din bane to
hote haiñ 'mīr' sāhib vaañ din Dhale hamesha
phirti hain us ki aankhen aankhon tale hamesha
rahta hai aab-e-dida yan ta-gale hamesha
tasdi' ek do din howe to koi khinche
taDpe jigar hamesha chhati jale hamesha
ek us mughal-bache ko wa'da wafa na karna
kuchh ja kahen to karna aare bale hamesha
kab tak wafa karega yun hausla hamara
dil pise dard aksar gham ji male hamesha
is jism-e-KHaki se hum miTTi mein aT rahe hain
yun KHak mein kahan tak koi rule hamesha
aainda-o-rawinda baad-e-sahar kabutar
qasid naya udhar ko kab tak chale hamesha
masjid mein chal ke miliye jum'e ke din bane to
hote hain 'mir' sahib wan din Dhale hamesha
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0940
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.